Patriotic songs India Indian Nationalistic songs
                
This resource gives you a collection of Famous Patriotic songs India which can play on the Republic Day India. These are the compositions from Great persons from India.
            
Patriotic songs India-Vande Maataram
Vande Maataram, vande maataram 
Sujala sufala malayaja-shitalaam 
Shashya-shyaamala maataram 
Vande maataram Shubhra-jyotsna-pulakita yaamini 
Phulakusumati-drumadala shobhini 
Suhaasini sumadhur bhaashini 
Sukhada varada maataram 
Vande maataram Koti Koti Kantha Kalakalaninada Karaale
Koti Koti Bhujai.rdhritakharakaravale 
Abalaa Keno Maa Eto Bale 
Bahubaladharinim Namami Tarinim
Ripudalavarinim Maataram Tumi Vidyaa Tumi Dharma 
Tumi Hridi Tumi Marma 
Tvam Hi Pranah Sharire Baahute Tumi Maa Shakti 
Hridaye Tumi Maa Bhakti 
Tomaara I Pratima Gadi 
Mandire Mandire Tvam Hi Durga Dashapraharanadharini 
Kamala Kamaladala Vihaarini 
Vani Vidyadayini Namami Tvam 
Namami Kamalam Amalam Atulam 
Sujalam Suphalam Maataram Shyaamalam Saralam Susmitam Bhushhitam
Dharanim Bharanim Maataram Patriotic songs India-Hindustan Hamara
 
Saare jahaan se achha 
Hindustan hamaara 
Hum bulbule(n) hai(n) uski 
Woh gulsitaan hamaara. 
Parbat woh sabse uncha 
Hamsaya a'smanka 
Woh santari hamaara 
Woh pasban hamaara. Godime(n) khelti hai(n) 
Jiski hazaaro(n) nadiya 
Gulshan hai jinki damse 
Raksh-I-jinan hamaara.. Mazhab nahin sikhaata 
Aapas main bair rakhna 
Hindi hain hum watan hai 
Hindustan hamaara.Patriotic songs India-Honge Kamiyaab
 
Hum honge kamiyaab (3), ek din… 
Ho…man mein hai vishwaas, poora hai vishwaas 
Hum honge kamiyaab ek din. 
Hum chalenge saath-saath 
Daal haatho(n) mein hath 
Hum chalenge saath-saath, ek din 
Man mein hai vishwaas, poora hai vishwaas 
Hum chalenge saath-saath ek din. Hogi shaanti chaaro aur (3), ek din 
Man hai vishwaas, poora hai vishwaas 
Hogi shaanti chaaro aur ek din. Nahi dar kisi kaa aaj 
Nahi bhay kisi ka aaj 
Nahi dar kisi ka aaj ek din 
Man mein hai vishwaas, poora hai vishwaas 
Nahi dar kisi ka aaj ek din. Hum honge kamiyaab (3), ek din 
Ho…man mein hai vishwaas, poora hai vishwaas 
Hum honge kamiyaab ek din.Patriotic songs India-Rashtriya Jhanda Abhinandan
Vijayi vishwa tiranga pyaara 
Jhanda uncha rahei(n) humara 
Sadaa shakti sarsaane waala, 
Prem sudha barsaane waala, 
Veero ko harshaane waala, Maatru bhoomi ka tan-man saara, 
Jhanda uncha rahei(n) humara. Swatantra ke bheeshan run mein, 
Lakhkar josh badhein 
kshan-kshan mein, 
Kaape shatru dekh kar man mein, Mit jaye bhay sankat saara 
Jhanda uncha rahei(n) humaara. Is zande ke neeche nirbhay, 
Rahei(n) swaadheen 
hum avichal nishchay. 
Bolo Bhaarat maata ki jay. Swatantrata ho dhyey humara 
Jhanda uncha rahei(n) humaara. Aao, pyaare veero! Aao; 
Desh- dharm par bali-bali jao 
Ek saath sab mil kar gaao, “Pyaara Bhaarat desh humaara, 
Jhanda uncha rahei(n) humaara. Iski shaan na jaane paaye, 
Chaahei(n) jaan bhale hi jaye, 
Vishwa vijay karke dikhlaaye, Tab hove praan poorna humaara 
Jhanda uncha rahei(n) humaara, 
Vijayi vishwa tiranga pyaara."Patriotic songs India-Vah desh kaun sa hai?
Manmaohini prakruti ki jo godh mei(n) basaa hai, 
Sukh swarg-sa jahaan hai, vah desh kaun sa hai? 
Jiske charan nirantar ratnesh dho raha hai, 
Jiskaa mukut himalaya, vah desh kaun sa hai? 
Nadiya(n) jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai, 
Seecha huva salona, vah desh kaun sa hai? 
Jiske bade rasile, phal-kand–naaj-meve, 
Sab ang mei(n) saje hai, vah desh kaun sa hai? 
Jisme sugandh waale, sundar prasun pyaare, 
Din- raat hus rahei(n) hai, vah desh kaun sa hai? 
Jiske anant dhan se dharti bhari padi hai, 
Sansaar ka shiromani, vah desh kaun sa hai? 
Sabse pratham jagat mei(n) jo sabhya tha yashaswi, 
Jagdish ka dulaara, vah desh kaun sa hai? 
Prithvi nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya, 
Shikshit kiya, sudhaara, vah desh kaun sa hai? 
Jismein huve alokik, tatvagna brahmagyani, 
Gautam, Kapil, Patanjali, vah desh kaun sa hai? 
Chhodo swaraaj trunavat, aadesh se pita ke, 
Vah Ram the jahaan par, vah desh kaun sa hai? 
Nihswaarth shudh premi bhaayi base jahaan the, 
Laxman – Bharat sarikhe, vah desh kaun sa hai? 
Devi pavitrata ki Sita jahaan huyi thi, 
Mateshwari jagat ki, vah desh kaun sa hai?
 Aadarsh nar jahaan par the bal-brahmachaari, 
Hanuman, Bhishma, Shankar, vah desh kaun sa hai? 
Vidwan, veer, yogi, guru raajnitiko ke 
Shrikrishna the jahaan par, vah desh kaun sa hai? 
Vijayi, bali, jahaan ke, bejod surma the 
Guru Dron, Bheem, Arjun, vah desh kaun sa hai? 
Jisme daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the, 
Sab log ka hiteshi, vah desh kaun sa hai? 
Pachpan karod jan hai, sevak saput jiske, 
Bhaarat sivay dooja, vah desh kaun sa hai?Patriotic songs India-Ab Tumhare Hawale Watan
Album :	HAQUEEQAT
Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon.. Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Kar Chale Ham
Fida, Jan-o-tan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon, Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan
Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon, Saans Tham Thi Gayi, Nabz Jam Tho Gayi, Phir Bhi
Badathe Kadam Ko Na Rukh Ne Diya, Kat Gaye Sar Hamaare, Tho Kuch Gam Nahin, Sar Himalay Ka Hamne
Na Jhuk Ne Diya, Marte Marte Raha Baanq Pan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Kar
Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Zinda Rehene Ke
Mausam, Bahut Hai Magar, Jaan Dene Ki Rut Roz Aati Nahin, Husn Aur Ishq Dono Ko Ruswa Kare, Woh
Jawaani Jo Khoon Mein Naahathi Nahin, Aaj Dharti Bani Hai Dulhan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale,
Watan Saathiyon.. Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan
Saathiyon.. Raah Qurbaaniyon Ki Na Veeran Ho, Tum Sajaathe Hi Rehna Naye Kaafile, Fathe Ka
Jashn Is Jashn Ke Baad Hein, Zindagi Maut Se Mil Rahi Hai Gale, Bandlo Apne Sar Se Kafan
Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Kar Chale Ham Fida, Jan-o-tan Saathiyon, Ab
Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Khench Do Apne Khoon Se Zameen Par Lakeer, Is Tarah Aane Ne
Paaye Na Raawan Koyi, Thod Do Haath Agar Haath Utne Lage, Chune Paaye Na Sita Ka Daaman Koyi, Ram
Bhi Tum, tumhi Lakshman Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Kar Chale Ham Fida,
Jan-o-tan Saathiyon, Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Ab Tumhare Hawale, Watan Saathiyon.. Ab
Tumhare Hawale, Watan Saathiyon..
